In-App Captain Support Center

Barhti naqal o harkat ke sath hum kaptanon ki zindagiyon ko asaan banana chahte thay ke bajaye iske ke kaptan support center ka dora karein, hum support center inke paas le ayein.

Aur iska matlab yeh tha ke hum mukhtalif online support channels mutarif karwaein jo kaptanon ke liye asaani laein. Ab tak hum ne mundarja zail channels mutarif karwaye hain.

1- WhatsApp Support: Humare bohat saray kaptan ko Captain App ke liye apni pin ko dobara rest karne mein dushwari ka samna karna parta hai. Is amal ko taiz tar aur asaan banana ke liye hum ne ek whatsapp number mutarif karwaya jo kaptan din ke kisi bhi waqt mila saktay hain aur ek ghante mein apna password subha 10 se shaam 7 ke darmiyan reset karwa saktay hain.
WhatsApp support number: 03106227336

2- Google Form: Mojuda suratehaal ko dekhte hue, humne apne suppliers ke liye ek online form mutarif karwaya hai jis ke zariye woh kisi bhi maslay ka, jis ka inhe samna hai, intekhab kar saktay hain. Jese hi humein inki shikayat mosool hoti hai, humare back end agent supplier ka masla aglay 2 ghanton main haal  hai  karta hai.
Online Support ke liye istamal shuda Google Form: https://careem.me/suppliers

3- In-App Support: Is support center ka maqsad kaptanon ke liye “one stop shop” hona hai, jahan woh har kisam ki support hasil kar sakte hain. Ab kaptan kisi bhi franchise ka dora karne ke bajaye baraye rast apne captain support center se darkhuwast jama karwa saktay hain. Is se na sirf inke waqt aur raqam ki bachat hogi balkay inka Careem ke sath baraye rast rabta ho sakay ga.

Kaptan ke support ticket jama karne ka amal asaan aur taiz tar banaya gaya hai, lehaza kaptan bagair kisi pareshani ke apni shikayat/darkhuwast jama karwa sakte hain.
Support center kis tarhan se kaam karega aur woh kis tarhan se humare kaptan ke deegar masail ko hal karega, is ko bhetar samjhne ke liye hum ne purane support center ki darkhuwast ka mawazna naye In-App support center ki mundarja zail darkhuwast se kia. Mazkura darkhuwaston ke ilawa, yahan zaati salamti ki darkhuwast bhi mojood hain jo kaptan humare In-App support center ke zariye jama kar saktay hain:

1- Hadsay mein shamoliat
2- Customer ke jismani hamlay ke hawalay se shikayat
3- Customer ki chori/zaati imlak ko nuksan pohanchane ke hawalay se shikayat
4- Customer ki kanooni sargarmiyon mein shamoliat ke hawalay se shikayat
5- Ride ke doran hamla/daketi (Customer shamil nahi hai)

Ramadan Timings for In-App Support Center: 10:00 am – 5:00 pm
Normal Timings for In-App Support Center: 10:00 am – 8:00 pm

Hum umeed kartay hain ke humare In-App captain support center se in ke bohat se masail hal ho jaeinge.

FacebookTwitterLinkedIn